kaun kahtā thā ki ye bhī hausla ho jā.egā
'mīr' o 'ġhālib' se hamārā silsila ho jā.egā
ham chale haiñ kūcha-e-qātil ko ye soche baġhair
tum na aao saath tab bhī qāfila ho jā.egā
jis qalandar ne rakhā Thokar meñ taḳht-o-tāj ko
vo zarā sā sar hilā de zalzala ho jā.egā
bad-duāoñ ne mujhe mahfūz rakkhā aaj tak
tum duā dene lage to mas.ala ho jā.egā
kaun kahta tha ki ye bhi hausla ho jaega
'mir' o 'ghaalib' se hamara silsila ho jaega
hum chale hain kucha-e-qatil ko ye soche baghair
tum na aao sath tab bhi qafila ho jaega
jis qalandar ne rakha Thokar mein taKHt-o-taj ko
wo zara sa sar hila de zalzala ho jaega
bad-duaon ne mujhe mahfuz rakkha aaj tak
tum dua dene lage to masala ho jaega
Leave a comment