Subscribe to our newsletter and get our newest updates

D. Raj Kanwal

  • Ghazal


duniya mein dil laga ke bahut sochte rahe


duniyā meñ dil lagā ke bahut sochte rahe
kāñToñ ko gudgudā ke bahut sochte rahe

kal sub.h ek shāḳh ye do adh-khilā gulāb
thoḌā sā muskurā ke bahut sochte rahe

kyā jaane chāñdnī ne sitāroñ se kyā kahā
shab-bhar vo sar jhukā ke bahut sochte rahe

TuuTā kahīñ jo shāḳh se ġhuncha to ham vahīñ
pahlū meñ dil dabā ke bahut sochte rahe

kyā jaane kis liye vo nazar ke savāl par
ham se nazar bachā ke bahut sochte rahe

itnā to yaad hai ki mohabbat ke zikr par
hoñToñ ko vo dabā ke bahut sochte rahe

hāthoñ se gir ke chuur huā jaam jab 'kañval'
TukḌe uThā uThā ke bahut sochte rahe

duniya mein dil laga ke bahut sochte rahe
kanTon ko gudguda ke bahut sochte rahe

kal subh ek shaKH ye do adh-khila gulab
thoDa sa muskura ke bahut sochte rahe

kya jaane chandni ne sitaron se kya kaha
shab-bhar wo sar jhuka ke bahut sochte rahe

TuTa kahin jo shaKH se ghuncha to hum wahin
pahlu mein dil daba ke bahut sochte rahe

kya jaane kis liye wo nazar ke sawal par
hum se nazar bacha ke bahut sochte rahe

itna to yaad hai ki mohabbat ke zikr par
honTon ko wo daba ke bahut sochte rahe

hathon se gir ke chur hua jam jab 'kanwal'
TukDe uTha uTha ke bahut sochte rahe


Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 27) Publication : Raghu Nath suhai ummid

Leave a comment

+