Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitransh Khare

  • Ghazal


mohabbat ki gali se hum jahan ho kar nikal aae


mohabbat kī galī se ham jahāñ ho kar nikal aa.e
ġhazal kahne ke tab se ḳhud-ba-ḳhud manzar nikal aa.e

hamāre haal par koī bhī hotā jī nahīñ paatā
ġhazal ne haath jab pakḌā to ham bach kar nikal aa.e

ye sarkārī mahal bhī kis qadar kachche nikalte hai
zarā bārish huī buniyād ke patthar nikal aa.e

sifārish ke binā jab bhī chale ham hasrateñ le kar
huī jab shaam to māyūs apne ghar nikal aa.e

zarā sī der ham ne narm lahja kyā kiyā apnā
hamāre dushmanoñ ke kaise kaise par nikal aa.e

mohabbat ki gali se hum jahan ho kar nikal aae
ghazal kahne ke tab se KHud-ba-KHud manzar nikal aae

hamare haal par koi bhi hota ji nahin pata
ghazal ne hath jab pakDa to hum bach kar nikal aae

ye sarkari mahal bhi kis qadar kachche nikalte hai
zara barish hui buniyaad ke patthar nikal aae

sifarish ke bina jab bhi chale hum hasraten le kar
hui jab sham to mayus apne ghar nikal aae

zara si der hum ne narm lahja kya kiya apna
hamare dushmanon ke kaise kaise par nikal aae


Leave a comment

+