detī hai vahshat-e-dil phir mujhe ta.abīr-e-bahār
jalva-gar ḳhvāb meñ rahne lagī tasvīr-e-bahār
silsila chhiḌ gayā phir dil kī giraftārī kā
phir nasīm aaj hilāne lagī zanjīr-e-bahār
husn aur ishq kī duniyā meñ paḌegī halchal
fitnā-añgez-o-junūñ-ḳhez hai tāsīr-e-bahār
tañg aane lage dīvāne garebānoñ se
kuchh to ai dast junūñ chāhiye tadbīr-e-bahār
dauḌī jaatī hai ghaTā sū-e-chaman bāda-kasho
parda-e-ġhaib se hone lagī tadbīr-e-bahār
deti hai wahshat-e-dil phir mujhe tabir-e-bahaar
jalwa-gar KHwab mein rahne lagi taswir-e-bahaar
silsila chhiD gaya phir dil ki giraftari ka
phir nasim aaj hilane lagi zanjir-e-bahaar
husn aur ishq ki duniya mein paDegi halchal
fitna-angez-o-junun-KHez hai tasir-e-bahaar
tang aane lage diwane garebanon se
kuchh to ai dast junun chahiye tadbir-e-bahaar
dauDi jati hai ghaTa su-e-chaman baada-kasho
parda-e-ghaib se hone lagi tadbir-e-bahaar
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 136) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005
Leave a comment