Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitransh Khare

  • Ghazal


log sare bhale nahin hote


log saare bhale nahīñ hote
haañ magar sab bure nahīñ hote

muddatoñ dekh-bhāl hai lāzim
peḌ yuuñ hī khaḌe nahīñ hote

vo patañgoñ kā pyaar kyā jaane
jin ke ghar meñ diye nahīñ hote

ishq chhup kar koī bhale kar le
raaz un ke chhupe nahīñ hote

ḳhvāb un ko hasīn lagtā hai
niiñd se jo jage nahīñ hote

phuul samjhā na hotā sho.aloñ ko
haath mere jale nahīñ hote

pyaar chhūtā nahīñ agar dil ko
sher ham ne kahe nahīñ hote

log sare bhale nahin hote
han magar sab bure nahin hote

muddaton dekh-bhaal hai lazim
peD yun hi khaDe nahin hote

wo patangon ka pyar kya jaane
jin ke ghar mein diye nahin hote

ishq chhup kar koi bhale kar le
raaz un ke chhupe nahin hote

KHwab un ko hasin lagta hai
nind se jo jage nahin hote

phul samjha na hota shoalon ko
hath mere jale nahin hote

pyar chhuta nahin agar dil ko
sher hum ne kahe nahin hote


Leave a comment

+