Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitra Bhardwaj suman

  • Ghazal


tamam umr hi wahm-o-guman mein guzri


tamām umr hī vahm-o-gumān meñ guzrī
mirī to pyaas sarāboñ ke dhyān meñ guzrī

maiñ chāñdnī thī zamīñ par utar hī aanā thā
vo Thahrā chāñd to shab āsmān meñ guzrī

galī meñ ishq kī mahñgā thā vasl kā bañgla
to saañs hijr ke saste makān meñ guzrī

kahāñ pe kartī hai sarkār-e-dil ri.āyat kuchh
kamā.ī ishq kī saarī lagān meñ guzrī

ye umr aadhī to kār-e-jahāñ meñ biit ga.ī
bachī thī vo bhī safar kī thakān meñ guzrī

tamam umr hi wahm-o-guman mein guzri
meri to pyas sarabon ke dhyan mein guzri

main chandni thi zamin par utar hi aana tha
wo Thahra chand to shab aasman mein guzri

gali mein ishq ki mahnga tha wasl ka bangla
to sans hijr ke saste makan mein guzri

kahan pe karti hai sarkar-e-dil riayat kuchh
kamai ishq ki sari lagan mein guzri

ye umr aadhi to kar-e-jahan mein bit gai
bachi thi wo bhi safar ki thakan mein guzri


Leave a comment

+