Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chiragh Hasan Hasrat

  • Ghazal


dushman jawaniyon ki ye aashnaiyan hain


dushman javāniyoñ kī ye āshnā.iyāñ haiñ
in āshnā.iyoñ meñ kyā kyā burā.iyāñ haiñ

'hasrat' kaho ki kis se āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ
hoñToñ pe sard aa.heñ muñh pe havā.iyāñ haiñ

yā dil-sitāniyāñ thiiñ aur mehrbāniyāñ thiiñ
yā kaj-adā.iyāñ haiñ yā bevafā.iyāñ haiñ

qismat kī kyā shikāyat taqdīr kā gilā kyā
jitnī burā.iyāñ haiñ dil kī burā.iyāñ haiñ

dushman jawaniyon ki ye aashnaiyan hain
in aashnaiyon mein kya kya buraiyan hain

'hasrat' kaho ki kis se aankhen laDaiyan hain
honTon pe sard aahen munh pe hawaiyan hain

ya dil-sitaniyan thin aur mehrbaniyan thin
ya kaj-adaiyan hain ya bewafaiyan hain

qismat ki kya shikayat taqdir ka gila kya
jitni buraiyan hain dil ki buraiyan hain


Leave a comment

+