Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chiragh Hasan Hasrat

  • Ghazal


dil bala se nisar ho jae


dil balā se nisār ho jaa.e
aap ko e'tibār ho jaa.e

qahr to baar baar hotā hai
lutf bhī ek baar ho jaa.e

zindagī chāra-sāz-e-ġham na sahī
maut hī ġham-gusār ho jaa.e

yā ḳhizāñ jaa.e aur bahār aa.e
yā ḳhizāñ hī bahār ho jaa.e

dil pe maanā ki iḳhtiyār nahīñ
aur agar iḳhtiyār ho jaa.e

dil bala se nisar ho jae
aap ko e'tibar ho jae

qahr to bar bar hota hai
lutf bhi ek bar ho jae

zindagi chaara-saz-e-gham na sahi
maut hi gham-gusar ho jae

ya KHizan jae aur bahaar aae
ya KHizan hi bahaar ho jae

dil pe mana ki iKHtiyar nahin
aur agar iKHtiyar ho jae


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 630) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+