Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charkh Chinioti

  • Ghazal


jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai


jalva-e-husn se hai sūrat-e-auqāt na.ī
din nayā sub.h na.ī shaam na.ī raat na.ī

in badalte hue hālāt kā mātam kaisā
har na.e daur meñ bantī haiñ rivāyāt na.ī

har mulāqāt kā andāz nayā hotā hai
jo bhī hotī hai vo hotī hai mulāqāt na.ī

nayā-pan husn ko virse meñ milā ho jaise
har adā us kī na.ī vaz.a na.ī baat na.ī

chāñd-tāroñ meñ nayā nuur umaD aatā hai
'charḳh' vo aate haiñ aatī hai nazar raat na.ī

jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai
din naya subh nai sham nai raat nai

in badalte hue haalat ka matam kaisa
har nae daur mein banti hain riwayat nai

har mulaqat ka andaz naya hota hai
jo bhi hoti hai wo hoti hai mulaqat nai

naya-pan husn ko wirse mein mila ho jaise
har ada us ki nai waza nai baat nai

chand-taron mein naya nur umaD aata hai
'charKH' wo aate hain aati hai nazar raat nai


Source: Husn-e-sukhan

Leave a comment

+