Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


titli se dosti na gulabon ka shauq hai


titlī se dostī na gulāboñ kā shauq hai
merī tarah use bhī kitāboñ kā shauq hai

varna to niiñd se bhī nahīñ koī ḳhaas rabt
āñkhoñ ko sirf aap ke ḳhvāboñ kā shauq hai

ham āshiq-e-ġhazal haiñ to maġhrūr kyoñ na hoñ
āḳhir ye shauq bhī to navāboñ kā shauq hai

us shaḳhs ke fareb se vāqif haiñ ham magar
kuchh apnī pyaas ko hī sarāboñ kā shauq hai

girne do ḳhud sambhalne do aise hī chalne do
ye to 'charāġh' ḳhāna-ḳharāboñ kā shauq hai

titli se dosti na gulabon ka shauq hai
meri tarah use bhi kitabon ka shauq hai

warna to nind se bhi nahin koi KHas rabt
aankhon ko sirf aap ke KHwabon ka shauq hai

hum aashiq-e-ghazal hain to maghrur kyon na hon
aaKHir ye shauq bhi to nawabon ka shauq hai

us shaKHs ke fareb se waqif hain hum magar
kuchh apni pyas ko hi sarabon ka shauq hai

girne do KHud sambhalne do aise hi chalne do
ye to 'charagh' KHana-KHarabon ka shauq hai


Leave a comment

+