Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


bargashta aur wo but-e-be-pir ho na jae


bargashta aur vo but-e-be-pīr ho na jaa.e
ulTī kahīñ duāoñ kī tāsīr ho na jaa.e

dil jal ke ḳhaak ho to phir iksīr ho na jaa.e
jāñ-soz hoñ jo naale to tāsīr ho na jaa.e

kis sādgī se mujrmoñ ne sar jhukā liyā
mahjūb kyuuñ vo mālik-e-taqdīr ho na jaa.e

dast-e-duā tak uTh na sake fart-e-sharm se
yārab kisī se aisī bhī taqsīr ho na jaa.e

mastoñ kī Thokar aur mirā sar hai sāqiyā
dushman kisī kā yuuñ falak-e-pīr ho na jaa.e

uThne hī ko hai beach se parda hijāb kā
mahfil tamām ālam-e-tasvīr ho na jaa.e

ġhaflat na kījiyo kabhī qātil kī yaad meñ
ai dil koī kamī tah-e-shamshīr ho na jaa.e

baiThā hai lau lagā.e koī teġh-e-nāz se
qātil kisī ke kaam meñ tāḳhīr ho na jaa.e

jaldī subū ko toḌ ke sāġhar banā le ab
saaqī is amr-e-ḳhair meñ tāḳhīr ho na jaa.e

nāloñ ne zor bāñdhā hai phir pichhlī raat se
ai charḳh chalte chalte koī tiir ho na jaa.e

dil se bahut shikāyateñ karte ho yaar kī
dekho qalam se kuchh kabhī tahrīr ho na jaa.e

sair-e-chaman se dil na lagāo chale chalo
fasl-e-bahār paañv kī zanjīr ho na jaa.e

anjām-kār par nahīñ kuchh iḳhtiyār 'yās'
taqdīr se ḳhajil mirī tadbīr ho na jaa.e

bargashta aur wo but-e-be-pir ho na jae
ulTi kahin duaon ki tasir ho na jae

dil jal ke KHak ho to phir iksir ho na jae
jaan-soz hon jo nale to tasir ho na jae

kis sadgi se mujrmon ne sar jhuka liya
mahjub kyun wo malik-e-taqdir ho na jae

dast-e-dua tak uTh na sake fart-e-sharm se
yarab kisi se aisi bhi taqsir ho na jae

maston ki Thokar aur mera sar hai saqiya
dushman kisi ka yun falak-e-pir ho na jae

uThne hi ko hai beach se parda hijab ka
mahfil tamam aalam-e-taswir ho na jae

ghaflat na kijiyo kabhi qatil ki yaad mein
ai dil koi kami tah-e-shamshir ho na jae

baiTha hai lau lagae koi tegh-e-naz se
qatil kisi ke kaam mein taKHir ho na jae

jaldi subu ko toD ke saghar bana le ab
saqi is amr-e-KHair mein taKHir ho na jae

nalon ne zor bandha hai phir pichhli raat se
ai charKH chalte chalte koi tir ho na jae

dil se bahut shikayaten karte ho yar ki
dekho qalam se kuchh kabhi tahrir ho na jae

sair-e-chaman se dil na lagao chale chalo
fasl-e-bahaar panw ki zanjir ho na jae

anjam-kar par nahin kuchh iKHtiyar 'yas'
taqdir se KHajil meri tadbir ho na jae


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 161) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+