Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


ab ye gul gulnar kab hai Khaar hai be-kar hai


ab ye gul gulnār kab hai ḳhaar hai be-kār hai
aap ne jab kah diyā be-kār hai be-kār hai

chhoḌ kar matl.a ġhazal damdār hai be-kār hai
jab sipah-sālār hī bīmār hai be-kār hai

ik savāl aisā hai mere paas jis ke sāmne
ye jo terī shiddat-e-inkār hai be-kār hai

tujh ko bhī hai chāñd kā dīdār karne kī talab
ik diye ko raushnī darkār hai be-kār hai

mai-kade ke muḳhtalif ādāb hote haiñ 'charāġh'
jo yahāñ par sāhab-e-kirdār hai be-kār hai

ab ye gul gulnar kab hai KHar hai be-kar hai
aap ne jab kah diya be-kar hai be-kar hai

chhoD kar matla ghazal damdar hai be-kar hai
jab sipah-salar hi bimar hai be-kar hai

ek sawal aisa hai mere pas jis ke samne
ye jo teri shiddat-e-inkar hai be-kar hai

tujh ko bhi hai chand ka didar karne ki talab
ek diye ko raushni darkar hai be-kar hai

mai-kade ke muKHtalif aadab hote hain 'charagh'
jo yahan par sahab-e-kirdar hai be-kar hai


Leave a comment

+