Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


kuchh is tarah dil se ishq us ka nikalna hai


kuchh is tarah dil se ishq us kā nikālnā hai
baġhair gullak ko toḌe sikka nikālnā hai

maiñ jāntā huuñ mohabbatoñ kā maqām-e-āḳhir
so us ke kamre se mujh ko pañkhā nikālnā hai

nikāl pheñkī ghaḌī kalā.ī se us kī dī huī
ab apne ḳhātir ik-ādh ghanTa nikālnā hai

zamīn khodeñ jinheñ banānī haiñ qabr-gāheñ
zamīn joteñ jinheñ ḳhazāna nikālnā hai

nikāl laayā jo mujh ko lahroñ kī sāzishoñ se
mujhe samundar se ab vo tinkā nikālnā hai

kuchh is tarah dil se ishq us ka nikalna hai
baghair gullak ko toDe sikka nikalna hai

main jaanta hun mohabbaton ka maqam-e-aKHir
so us ke kamre se mujh ko pankha nikalna hai

nikal phenki ghaDi kalai se us ki di hui
ab apne KHatir ik-adh ghanTa nikalna hai

zamin khoden jinhen banani hain qabr-gahen
zamin joten jinhen KHazana nikalna hai

nikal laya jo mujh ko lahron ki sazishon se
mujhe samundar se ab wo tinka nikalna hai


Leave a comment

+