Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


jang jitni ho sake dushwar honi chahiye


jañg jitnī ho sake dushvār honī chāhiye
jiit hāsil ho to lazzat-dār honī chāhiye

ek āshiq kal salāmat shahr meñ dekhā gayā
ye ḳhabar to surḳhi-e-aḳhbār honī chāhiye

kah rahī hai āj-kal ġhazleñ kisī ke ishq meñ
vo ki jo ḳhud zīnat-e-ash.ār honī chāhiye

ishq donoñ ne kiyā thā ḳhud-kushī bas maiñ karūñ
vo bhī marne ke liye tayyār honī chāhiye

dil kī nādānī hī bas kaafī nahīñ hai ishq meñ
aql bhī thoḌī bahut bīmār honī chāhiye

pyaar hai to haath us kā thaam apne haath meñ
jañg hai to haath meñ talvār honī chāhiye

jang jitni ho sake dushwar honi chahiye
jit hasil ho to lazzat-dar honi chahiye

ek aashiq kal salamat shahr mein dekha gaya
ye KHabar to surKHi-e-aKHbar honi chahiye

kah rahi hai aaj-kal ghazlen kisi ke ishq mein
wo ki jo KHud zinat-e-ashaar honi chahiye

ishq donon ne kiya tha KHud-kushi bas main karun
wo bhi marne ke liye tayyar honi chahiye

dil ki nadani hi bas kafi nahin hai ishq mein
aql bhi thoDi bahut bimar honi chahiye

pyar hai to hath us ka tham apne hath mein
jang hai to hath mein talwar honi chahiye


Leave a comment

+