umūman ham akele baiThte haiñ
vo baiThā hai to chaliye baiThte haiñ
mirī āñkhoñ meñ gunjā.ish to kam hai
par us ke ḳhvāb puure baiThte haiñ
uThīñ nazreñ to nazroñ se gireñge
yahāñ nazroñ pe pahre baiThte haiñ
adab kā farsh hai ye is pe bachche
buzurgoñ ke sahāre baiThte haiñ
vo ḳhud markaz meñ thoḌī baiThtā hai
sab us ke aage pīchhe baiThte haiñ
udāsī se bharosā uTh rahā hai
chalo 'nāsir' ko paḌhne baiThte haiñ
umuman hum akele baiThte hain
wo baiTha hai to chaliye baiThte hain
meri aankhon mein gunjaish to kam hai
par us ke KHwab pure baiThte hain
uThin nazren to nazron se girenge
yahan nazron pe pahre baiThte hain
adab ka farsh hai ye is pe bachche
buzurgon ke sahaare baiThte hain
wo KHud markaz mein thoDi baiThta hai
sab us ke aage pichhe baiThte hain
udasi se bharosa uTh raha hai
chalo 'nasir' ko paDhne baiThte hain
Leave a comment