Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


jaane wo chiz kya thi jo chamki zamin par


jaane vo chiiz kyā thī jo chamkī zamīn par
ujle se log aa gire mailī zamīn par

tere liye vo dhuup kā TukḌā rahā rahe
mere liye to aag sī barsī zamīn par

sūraj ne dī jo aag vo sūraj meñ ghol dī
thī raakh is zamīñ kī so rakh dī zamīn par

ye bad-havās jism kisī kaam kā nahīñ
lagtā hai jaise laash ho jaltī zamīn par

ye fāsla nahīñ hai zarūrat kī baat hai
titlī hai phuul par to hai chīñTī zamīn par

pahle pahal to maiñ use shā.ir nahīñ lagā
ab sher kah rahā hai vo merī zamīn par

jaane wo chiz kya thi jo chamki zamin par
ujle se log aa gire maili zamin par

tere liye wo dhup ka TukDa raha rahe
mere liye to aag si barsi zamin par

suraj ne di jo aag wo suraj mein ghol di
thi rakh is zamin ki so rakh di zamin par

ye bad-hawas jism kisi kaam ka nahin
lagta hai jaise lash ho jalti zamin par

ye fasla nahin hai zarurat ki baat hai
titli hai phul par to hai chinTi zamin par

pahle pahal to main use shair nahin laga
ab sher kah raha hai wo meri zamin par


Leave a comment

+