pyaas ko dariyā rahā aur ḳhaak ko sahrā rahā
is ke ma.anī ye hue ke ye safar achchhā rahā
ab maiñ Duubā tab maiñ Duubā bas isī ummīd meñ
ik samundar paas mere rāt-bhar baiThā rahā
maiñ koī manzil nahīñ thā miil kā patthar thā bas
ba.ad mere bhī musalsal rāsta chaltā rahā
ek aahaT aa ke mere dar se vāpas ho ga.ī
aur maiñ kānoñ ko takiye se dabā sotā rahā
sun liyā thā ek din ik saañs hogī āḳhirī
aur phir har saañs pe us saañs kā dhaḌkā rahā
ik zarā hazrat ne sab kuchh hī badal kar rakh diyā
jo kabhī ik shaḳhs thā ab vo faqat chehra rahā
zindagī ab aur koī ġham diyā to dekhiyo
ḳhaak kar dūñgā tujhe maiñ ye mirā va.ada rahā
pyas ko dariya raha aur KHak ko sahra raha
is ke mani ye hue ke ye safar achchha raha
ab main Duba tab main Duba bas isi ummid mein
ek samundar pas mere raat-bhar baiTha raha
main koi manzil nahin tha mil ka patthar tha bas
baad mere bhi musalsal rasta chalta raha
ek aahaT aa ke mere dar se wapas ho gai
aur main kanon ko takiye se daba sota raha
sun liya tha ek din ek sans hogi aaKHiri
aur phir har sans pe us sans ka dhaDka raha
ek zara hazrat ne sab kuchh hi badal kar rakh diya
jo kabhi ek shaKHs tha ab wo faqat chehra raha
zindagi ab aur koi gham diya to dekhiyo
KHak kar dunga tujhe main ye mera wada raha
Leave a comment