Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


tai hua din ki khule sham ke bistar chaliye


tai huā din ki khule shaam ke bistar chaliye
paañv ko hukm thakan kā hai ki ab ghar chaliye

pahle pahle to kisī chiiz se Takrāoge
tab kahīñ zehn kahegā ki sambhal kar chaliye

choT dekheñge to manzil pe nahīñ pahuñcheñge
lag ga.ī paañv ko jo lagnī thī Thokar chaliye

aise kitne hī mileñge tumheñ manzil tak so
dekhnā chhoḌiye bhī miil ke patthar chaliye

raah meñ bhiiḌ Darātī hai to ghar jaate haiñ aur
ghar kī tanhā.ī ye kahtī hai ki bāhar chaliye

tai hua din ki khule sham ke bistar chaliye
panw ko hukm thakan ka hai ki ab ghar chaliye

pahle pahle to kisi chiz se Takraoge
tab kahin zehn kahega ki sambhal kar chaliye

choT dekhenge to manzil pe nahin pahunchenge
lag gai panw ko jo lagni thi Thokar chaliye

aise kitne hi milenge tumhein manzil tak so
dekhna chhoDiye bhi mil ke patthar chaliye

rah mein bhiD Daraati hai to ghar jate hain aur
ghar ki tanhai ye kahti hai ki bahar chaliye


Leave a comment

+