ḳhizāñ ke jaur se vāqif koī bahār na ho
kisī kā pairahan-e-husn tār-tār na ho
ba-rañg-e-sabza-e-begāna rauñd Daale falak
mujhe bahār bhī aa.e to sāz-gār na ho
ḳhizāñ ke aate hī gulchīñ ne pher liiñ āñkheñ
kisī se koī vafā kā umīd-vār na ho
Thahar Thahar dil-e-vahshī bahār aane de
abhī se bahr-e-ḳhudā itnā be-qarār na ho
Tapak ke āñkhoñ se aa.e lahū jo dāman tak
to is bahār se behtar koī bahār na ho
hayā kī baat hai ab tak qafas meñ zinda huuñ
chaman meñ jā.ūñ to nargis se aañkh chaar na ho
bahār aa.ī hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul
qafas meñ nik.hat-e-gul kī umīd-vār na ho
ishāra-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis
ilāhī raaz kisī kā bhī āshkār na ho
bichhā hai dām-e-tamannā asiir ho bulbul
qafas kī yaad meñ is tarah be-qarār na ho
asīr-e-dām na honā zarā sambhal ai dil
ḳhayāl-e-gesū-e-pur-ḳham gale kā baar na ho
jo dekh le mujhe saaqī nashīlī āñkhoñ se
ye mast phir kabhī sharminda-e-ḳhumār na ho
abas hai zikr-e-sharāb-e-tahūr aur vaa.iz
vo baat kar jo kisī dil ko nāgavār na ho
visāl jab nahīñ mumkin to dil pe jabr achchhā
vo kyā kare jise dil hī par iḳhtiyār na ho
vo tiir kyā jo kisī ko na kar sake bismil
nigāh-e-nāz vo kyā hai jo dil ke paar na ho
mizāj-e-yār mukaddar na hone paa.e 'yās'
buland dāman-e-zīñ kahīñ se ġhubār na ho
KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho
kisi ka pairahan-e-husn tar-tar na ho
ba-rang-e-sabza-e-begana raund Dale falak
mujhe bahaar bhi aae to saz-gar na ho
KHizan ke aate hi gulchin ne pher lin aankhen
kisi se koi wafa ka umid-war na ho
Thahar Thahar dil-e-wahshi bahaar aane de
abhi se bahr-e-KHuda itna be-qarar na ho
Tapak ke aankhon se aae lahu jo daman tak
to is bahaar se behtar koi bahaar na ho
haya ki baat hai ab tak qafas mein zinda hun
chaman mein jaun to nargis se aankh chaar na ho
bahaar aai hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul
qafas mein nikhat-e-gul ki umid-war na ho
ishaara-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis
ilahi raaz kisi ka bhi aashkar na ho
bichha hai dam-e-tamanna asir ho bulbul
qafas ki yaad mein is tarah be-qarar na ho
asir-e-dam na hona zara sambhal ai dil
KHayal-e-gesu-e-pur-KHam gale ka bar na ho
jo dekh le mujhe saqi nashili aankhon se
ye mast phir kabhi sharminda-e-KHumar na ho
abas hai zikr-e-sharab-e-tahur aur waiz
wo baat kar jo kisi dil ko nagawar na ho
visal jab nahin mumkin to dil pe jabr achchha
wo kya kare jise dil hi par iKHtiyar na ho
wo tir kya jo kisi ko na kar sake bismil
nigah-e-naz wo kya hai jo dil ke par na ho
mizaj-e-yar mukaddar na hone pae 'yas'
buland daman-e-zin kahin se ghubar na ho
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 154) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005
Leave a comment