Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandrabhan Khayal

  • Ghazal


khol simaT ke andar simaT kar rah gaya main


khol simaT ke andar simaT kar rah gayā maiñ
apnī saa.e se bhī kaT kar rah gayā maiñ

le gayā vo chhīn kar merī javānī
us pe bas yuuñ hī jhapaT kar rah gayā maiñ

jab kabhī niklā julūs-e-rañg-o-nik.hat
TuuTī dīvāroñ se saT kar rah gayā maiñ

chal rahā thā vo mere shāna-ba-shāna
ḳhud hī us se duur haT kar rah gayā maiñ

us ne miTTī bhar mujhe ūñchā kiyā jab
aur bhī ik haath ghaT kar rah gayā maiñ

chaah thī ghul jaao saare manzaroñ meñ
haif kuchh logoñ meñ baT kar rah gayā maiñ

bārhā aisā huā mahsūs jaise
āsmānoñ se lipaT kar rah gayā maiñ

khol simaT ke andar simaT kar rah gaya main
apni sae se bhi kaT kar rah gaya main

le gaya wo chhin kar meri jawani
us pe bas yun hi jhapaT kar rah gaya main

jab kabhi nikla julus-e-rang-o-nikhat
TuTi diwaron se saT kar rah gaya main

chal raha tha wo mere shana-ba-shana
KHud hi us se dur haT kar rah gaya main

us ne miTTi bhar mujhe uncha kiya jab
aur bhi ek hath ghaT kar rah gaya main

chah thi ghul jao sare manzaron mein
haif kuchh logon mein baT kar rah gaya main

barha aisa hua mahsus jaise
aasmanon se lipaT kar rah gaya main


Source: Sulagti Soch Ke Saye

Leave a comment

+