ho na ho ās-pās hai koī
mere jitnā udaas hai koī
sochtā huuñ to aur baḌhtī hai
zindagī hai ki pyaas hai koī
hādisa ek bhī nahīñ guzrā
be-sabab bad-havās hai koī
phir parinde shajar se bichhḌe haiñ
phir se tasvīr-e-yās hai koī
apnī urdu to lok bhāshā hai
is se kyuuñ nā-shanās hai koī
ho na ho aas-pas hai koi
mere jitna udas hai koi
sochta hun to aur baDhti hai
zindagi hai ki pyas hai koi
hadisa ek bhi nahin guzra
be-sabab bad-hawas hai koi
phir parinde shajar se bichhDe hain
phir se taswir-e-yas hai koi
apni urdu to lok bhasha hai
is se kyun na-shanas hai koi
Leave a comment