koī daanā koī dīvāna milā
shahar meñ har shaḳhs begāna milā
maiñ use pahchān to letā magar
jab milā vo ban ke afsāna milā
niim ke pattoñ sī kaḌvī har ḳhushī
dekhiye mujh ko ye nazrāna milā
shor thā vo paikar-e-paikār hai
azm us kā bhī marīzāna milā
zindagī ke naam par mujh ko 'ḳhayāl'
ek zahrīlā siyah-ḳhāna milā
koi dana koi diwana mila
shahar mein har shaKHs begana mila
main use pahchan to leta magar
jab mila wo ban ke afsana mila
nim ke patton si kaDwi har KHushi
dekhiye mujh ko ye nazrana mila
shor tha wo paikar-e-paikar hai
azm us ka bhi marizana mila
zindagi ke nam par mujh ko 'KHayal'
ek zahrila siyah-KHana mila
Leave a comment