Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Shekhar Varma

  • Ghazal


ek to patthar uchhaala ja raha hai


ek to patthar uchhālā jā rahā hai
us pe shīsha bhī sambhālā jā rahā hai

ghar añdheroñ kā khañgālā jā rahā hai
raat meñ sūraj nikālā jā rahā hai

phuul to majbūriyoñ meñ khil rahe haiñ
baaġh meñ kāñToñ ko paalā jā rahā hai

faisla aayā hai barsoñ baad vo hī
faisle ko kal pe Taalā jā rahā hai

aap kī tab tak hī zindabād hogī
peT meñ jab tak nivālā jā rahā hai

ab sunā aise bhī sāñche ban rahe haiñ
jin meñ kūza-gar Dhālā jā rahā hai

ab kahāñ kandhoñ ko kuchh taklīf hogī
bojh saarā dil pe Daalā jā rahā hai

band rah kar vo bhī ab uktā gayā hai
chābiyoñ ke paas taalā jā rahā hai

ek to patthar uchhaala ja raha hai
us pe shisha bhi sambhaala ja raha hai

ghar andheron ka khangala ja raha hai
raat mein suraj nikala ja raha hai

phul to majburiyon mein khil rahe hain
bagh mein kanTon ko pala ja raha hai

faisla aaya hai barson baad wo hi
faisle ko kal pe Tala ja raha hai

aap ki tab tak hi zindabaad hogi
peT mein jab tak niwala ja raha hai

ab suna aise bhi sanche ban rahe hain
jin mein kuza-gar Dhaala ja raha hai

ab kahan kandhon ko kuchh taklif hogi
bojh sara dil pe Dala ja raha hai

band rah kar wo bhi ab ukta gaya hai
chabiyon ke pas tala ja raha hai


Leave a comment

+