Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Parkash Shad

  • Ghazal


sabhi samton ko Thukra kar uDi jae


sabhī samtoñ ko Thukrā kar uḌī jaa.e
kahāñ tak jaane gard-e-gum-rahī jaa.e

bachā kar apne saa.e ko kahāñ rakhkhūñ
ki shab to har taraf ko phailtī jaa.e

koī dīvār hai terī samā.at bhī
ki jo āvāz aa.e lauTtī jaa.e

na pahroñ likh sakūñ maiñ koī baat apnī
ajab sī gard kāġhaz par jamī jaa.e

achānak TuuT jaa.e qasr-e-tanhā.ī
koī āvāz khiḌkī kholtī jaa.e

sunā hai maiñ sadāoñ kā samundar huuñ
ye sannāTā kahīñ mujh ko na pī jaa.e

vahāñ basne kī ḳhvāhish muñh take merā
imārat bante bante TūTtī jaa.e

ubharte jaa.eñ rañgoñ ke khule manzar
magar be-fursatī ā.ankhoñ ko sī jaa.e

yuuñ hī khapte na jaa.eñ roz-o-shab meñ ham
kabhī to baat be-mausam bhī kī jaa.e

ye tum kis ke liye jalte ho goshoñ meñ
chalo chhat par saḌak tak raushnī jaa.e

sabhi samton ko Thukra kar uDi jae
kahan tak jaane gard-e-gum-rahi jae

bacha kar apne sae ko kahan rakhkhun
ki shab to har taraf ko phailti jae

koi diwar hai teri samaat bhi
ki jo aawaz aae lauTti jae

na pahron likh sakun main koi baat apni
ajab si gard kaghaz par jami jae

achanak TuT jae qasr-e-tanhai
koi aawaz khiDki kholti jae

suna hai main sadaon ka samundar hun
ye sannaTa kahin mujh ko na pi jae

wahan basne ki KHwahish munh take mera
imarat bante bante TuTti jae

ubharte jaen rangon ke khule manzar
magar be-fursati aaankhon ko si jae

yun hi khapte na jaen roz-o-shab mein hum
kabhi to baat be-mausam bhi ki jae

ye tum kis ke liye jalte ho goshon mein
chalo chhat par saDak tak raushni jae


Source: Shab Khoon(Shumara Number-068)

Leave a comment

+