Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandni Pandey

  • Ghazal


KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein


ḳhatm hai bādal kī jab se sā.ebānī dhuup meñ
aag hotī jā rahī hai zindagānī dhuup meñ

chāñd kī āġhosh meñ hone se jis kā hai vajūd
khil sakegī kyā bhalā vo rāt-rānī dhuup meñ

us kī furqat kī tapish meñ maiñ jhulas kar rah ga.ī
varna itnī taab kab thī āsmānī dhuup meñ

kuchh chamaktā sā nazar aane lagā hai ret meñ
baḌh rahī hai mere qadmoñ kī ravānī dhuup meñ

ek saaya saath mere ham-safar ban kar mirā
likh rahā hai phir koī taaza kahānī dhuup meñ

KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein
aag hoti ja rahi hai zindagani dhup mein

chand ki aaghosh mein hone se jis ka hai wajud
khil sakegi kya bhala wo raat-rani dhup mein

us ki furqat ki tapish mein main jhulas kar rah gai
warna itni tab kab thi aasmani dhup mein

kuchh chamakta sa nazar aane laga hai ret mein
baDh rahi hai mere qadmon ki rawani dhup mein

ek saya sath mere ham-safar ban kar mera
likh raha hai phir koi taza kahani dhup mein


Leave a comment

+