Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandni Pandey

  • Ghazal


mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili


mujhe talāsh thī jis kī vahī kabhī na milī
har ek chiiz milī ek zindagī na milī

tirī talāsh meñ pairoñ meñ paḌ ga.e chhāle
magar ai manzil-e-maqsūd tū kabhī na milī

ḳhushī se dostī merī bhī thī magar ik din
ḳhafā huī vo kuchh aisī ki phir kabhī na milī

vo jis charāġh ke dam se makān raushan thā
usī charāġh ko ḳhud apnī raushnī na milī

tumhāre hijr meñ aisā bhī vaqt aayā hai
badan TaTol ke dekhā to nabz hī na milī

ye jism hai ki faqat shor gul hai sāñsoñ kā
ye aañkh hai ki koī ḳhvāb dekhtī na milī

dil-o-dimāġh pe haavī rahā ġham-e-daurāñ
ḳhushī ke saath bhī rah kar mujhe ḳhushī na milī

mujhe na mil sakā sūraj mire mukaddar kā
tirā nasīb tujhe merī 'chāñdnī' na milī

mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili
har ek chiz mili ek zindagi na mili

teri talash mein pairon mein paD gae chhaale
magar ai manzil-e-maqsud tu kabhi na mili

KHushi se dosti meri bhi thi magar ek din
KHafa hui wo kuchh aisi ki phir kabhi na mili

wo jis charagh ke dam se makan raushan tha
usi charagh ko KHud apni raushni na mili

tumhaare hijr mein aisa bhi waqt aaya hai
badan TaTol ke dekha to nabz hi na mili

ye jism hai ki faqat shor gul hai sanson ka
ye aankh hai ki koi KHwab dekhti na mili

dil-o-dimagh pe hawi raha gham-e-dauran
KHushi ke sath bhi rah kar mujhe KHushi na mili

mujhe na mil saka suraj mere mukaddar ka
tera nasib tujhe meri 'chandni' na mili


Leave a comment

+