Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chander Wahid

  • Ghazal


ab to KHwabon ke hi sahaare hain


ab to ḳhvāboñ ke hī sahāre haiñ
ye hī le de ke ab hamāre haiñ

apnā saaya talak na thā apnā
ham ne aise bhī din guzāre haiñ

ḳhud ko ḳhvāboñ ke mol bechā hai
qarz yādoñ ke tab utāre haiñ

apnā kahne ko yuuñ to duniyā hai
ham azal se hī be-sahāre haiñ

dard kī chhāñv meñ chalo 'vāhid'
tapte mausam ke ye ishāre haiñ

ab to KHwabon ke hi sahaare hain
ye hi le de ke ab hamare hain

apna saya talak na tha apna
hum ne aise bhi din guzare hain

KHud ko KHwabon ke mol becha hai
qarz yaadon ke tab utare hain

apna kahne ko yun to duniya hai
hum azal se hi be-sahaare hain

dard ki chhanw mein chalo 'wahid'
tapte mausam ke ye ishaare hain


Source: Book : سمے کمہار ہے Author : چندر واحد Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)

Leave a comment

+