Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

  • Ghazal


le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka


le uḌā rañg falak jalva-e-ra.anā.ī kā
aks hai qaus-e-quzah meñ tirī añgḌā.ī kā

is qadar naaz hai kyuuñ aap ko yaktā.ī par
dūsrā naam hai ye bhī mirī tanhā.ī kā

ajab andāz se kuchh mohr-e-ḳhamoshī TuuTī
vasf paidā huā tasvīr meñ goyā.ī kā

khul rahā hai tirī rahmat kī badaulat varna
kaun thā dekhne vaalā gul-e-sahrā.ī kā

ho ga.ī mere gunāhoñ kī siyāhī maqbūl
sañg-e-asvad pe chaḌhā rañg jabīñ-sā.ī kā

sūrat-e-yās se ā.īna-e-hairat ho kar
dekhte rah ga.e chehra vo tamannā.ī kā

be-ḳhudī dekh ke merī sar-e-mahfil pūchhā
naam mash.hūr hai 'kaifī' isī sahbā.ī kā

le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka
aks hai qaus-e-quzah mein teri angDai ka

is qadar naz hai kyun aap ko yaktai par
dusra nam hai ye bhi meri tanhai ka

ajab andaz se kuchh mohr-e-KHamoshi TuTi
wasf paida hua taswir mein goyai ka

khul raha hai teri rahmat ki badaulat warna
kaun tha dekhne wala gul-e-sahrai ka

ho gai mere gunahon ki siyahi maqbul
sang-e-aswad pe chaDha rang jabin-sai ka

surat-e-yas se aaina-e-hairat ho kar
dekhte rah gae chehra wo tamannai ka

be-KHudi dekh ke meri sar-e-mahfil puchha
nam mashhur hai 'kaifi' isi sahbai ka


Source: Khumnistan-e-kaifi

Leave a comment

+