kyā husn hai yūsuf bhī ḳharīdār hai terā
kahte haiñ jise misr vo bāzār hai terā
taqdīr usī kī hai nasība hai isī kā
jis aañkh se kuchh va.ada-e-dīdār hai terā
tā-zīst na TuuTe vo mirā ahd-e-vafā hai
tā-hashr na puurā ho vo iqrār hai terā
barchhī kī tarah dil meñ khaTaktī haiñ adā.eñ
andāz jo qātil dam-e-raftār hai terā
kyā tū ne khilā.e chaman bazm meñ 'kaifī'
kyā rañg-e-gul afshā-e-guftār hai terā
kya husn hai yusuf bhi KHaridar hai tera
kahte hain jise misr wo bazar hai tera
taqdir usi ki hai nasiba hai isi ka
jis aankh se kuchh wada-e-didar hai tera
ta-zist na TuTe wo mera ahd-e-wafa hai
ta-hashr na pura ho wo iqrar hai tera
barchhi ki tarah dil mein khaTakti hain adaen
andaz jo qatil dam-e-raftar hai tera
kya tu ne khilae chaman bazm mein 'kaifi'
kya rang-e-gul afsha-e-guftar hai tera
Source: Khumnistan-e-kaifi
Leave a comment