duur saayā sā hai kyā phūloñ meñ
chhuptī phirtī hai sabā phūloñ meñ
itnī ḳhushbū thī ki sar dukhne lagā
mujh se baiThā na gayā phūloñ meñ
chāñd bhī aa gayā shāḳhoñ ke qarīb
ye nayā phuul khilā phūloñ meñ
chāñd merā hai sitāroñ se alag
phuul merā hai judā phūloñ meñ
chāñdnī chhoḌ ga.ī thī ḳhushbū
dhuup ne rañg bharā phūloñ meñ
titliyāñ qumriyāñ sab uḌ bhī ga.iiñ
maiñ to soyā hī rahā phūloñ meñ
ruk gayā haath tirā kyuuñ 'bāsir'
koī kāñTā to na thā phūloñ meñ
dur saya sa hai kya phulon mein
chhupti phirti hai saba phulon mein
itni KHushbu thi ki sar dukhne laga
mujh se baiTha na gaya phulon mein
chand bhi aa gaya shaKHon ke qarib
ye naya phul khila phulon mein
chand mera hai sitaron se alag
phul mera hai juda phulon mein
chandni chhoD gai thi KHushbu
dhup ne rang bhara phulon mein
titliyan qumriyan sab uD bhi gain
main to soya hi raha phulon mein
ruk gaya hath tera kyun 'basir'
koi kanTa to na tha phulon mein
Source: Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 251) Author : Dr. Jawaz Jafri Publication : Kitab Saray, Lahore (2011) Edition : 2011
Leave a comment