Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basir Sultan Kazmi

  • Ghazal


tha jo kabhi ek shauq-e-fuzul


thā jo kabhī ik shauq-e-fuzūl
ab hai vahī apnā ma.amūl

kaise yaad rahī tujh ko
merī ik chhoTī sī bhuul

ġham bargad kā ghanā daraḳht
ḳhushiyāñ nanhe nanhe phuul

ab dil ko samjhā.e kaun
baat agarche hai ma.aqūl

aañsū ḳhushk hue jab se
āñgan meñ uḌtī hai dhuul

tha jo kabhi ek shauq-e-fuzul
ab hai wahi apna mamul

kaise yaad rahi tujh ko
meri ek chhoTi si bhul

gham bargad ka ghana daraKHt
KHushiyan nanhe nanhe phul

ab dil ko samjhae kaun
baat agarche hai maqul

aansu KHushk hue jab se
aangan mein uDti hai dhul


Leave a comment

+