tujh ko dekh rahā huuñ maiñ
aur bhalā kyā chāhūñ maiñ
duniyā kī manzil hai vo
jis ko chhoḌ chukā huuñ maiñ
tū jab sāmne hotā hai
aur kahīñ hotā huuñ maiñ
aur kisī ko kyā pā.ūñ
ḳhud khoyā rahtā huuñ maiñ
ḳhatm huiiñ saarī bāteñ
achchhā ab chaltā huuñ maiñ
tujh ko dekh raha hun main
aur bhala kya chahun main
duniya ki manzil hai wo
jis ko chhoD chuka hun main
tu jab samne hota hai
aur kahin hota hun main
aur kisi ko kya paun
KHud khoya rahta hun main
KHatm huin sari baaten
achchha ab chalta hun main
Leave a comment