Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashir Saifi

  • Ghazal


zahir meri shikast ke aasar bhi nahin


zāhir mirī shikast ke āsār bhī nahīñ
mujh ko yaqīn fat.h kā is baar bhī nahīñ

qaid-e-makāñ se dekhiye kab tak rihā.ī ho
ab tak to bad-gumāñ dar-o-dīvār bhī nahīñ

kis sehr kī giraft meñ aa.e hue haiñ ham
āñkheñ bhī haiñ khulī huī bedār bhī nahīñ

jo kuchh ki dil meñ ho bharī mahfil meñ kah sake
har shaḳhs meñ ye jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ

kyā asl kā.enāt ko 'saifī' samajh sakūñ
mujh par ayaañ to zaat ke asrār bhī nahīñ

zahir meri shikast ke aasar bhi nahin
mujh ko yaqin fath ka is bar bhi nahin

qaid-e-makan se dekhiye kab tak rihai ho
ab tak to bad-guman dar-o-diwar bhi nahin

kis sehr ki giraft mein aae hue hain hum
aankhen bhi hain khuli hui bedar bhi nahin

jo kuchh ki dil mein ho bhari mahfil mein kah sake
har shaKHs mein ye jurat-e-izhaar bhi nahin

kya asl kaenat ko 'saifi' samajh sakun
mujh par ayan to zat ke asrar bhi nahin


Source: Book : Urdu Adab (Pg. 39) Author : Iqbal Hussain Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996) Edition : Jan, Feb. Mar 1996

Leave a comment

+