Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashar Nawaz

  • Ghazal


jab kabhi honge to hum mail-e-gham hi honge


jab kabhī hoñge to ham mā.il-e-ġham hī hoñge
aise dīvāne bhī is daur meñ kam hī hoñge

ham to zaḳhmoñ pe bhī ye soch ke ḳhush hote haiñ
tohfa-e-dost haiñ jab ye to karam hī hoñge

bazm-e-ālam meñ jab aa.e haiñ to baiTheñ kuchh aur
bas yahī hogā nā kuchh aur sitam hī hoñge

jab bhī barbād-e-vafā koī nazar aa.e tumheñ
ġhaur se dekh liyā karnā vo ham hī hoñge

koī bhaTkā huā bādal koī uḌtī ḳhushbū
kaun kah saktā hai ik din ye baham hī hoñge

jab kabhi honge to hum mail-e-gham hi honge
aise diwane bhi is daur mein kam hi honge

hum to zaKHmon pe bhi ye soch ke KHush hote hain
tohfa-e-dost hain jab ye to karam hi honge

bazm-e-alam mein jab aae hain to baiThen kuchh aur
bas yahi hoga na kuchh aur sitam hi honge

jab bhi barbaad-e-wafa koi nazar aae tumhein
ghaur se dekh liya karna wo hum hi honge

koi bhaTka hua baadal koi uDti KHushbu
kaun kah sakta hai ek din ye baham hi honge


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+