Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


maut aai aane dijiye parwa na kijiye


maut aa.ī aane dījiye parvā na kījiye
manzil hai ḳhatm sajda-e-shukrāna kījiye

zinhār tark-e-lazzat-e-īzā na kījiye
hargiz gunāh-e-ishq se tauba na kījiye

nā-āshnā-e-husn ko kyā e'tibār-e-ishq
andhoñ ke aage baiTh ke royā na kījiye

taaki ḳhabar bhī lā.iye sāhil ke shauq meñ
koshish ba-qadr-e-himmat-e-mardāna kījiye

vo din ga.e ki dil ko havas thī gunāh kī
yādash-ba-ḳhair zikr ab us kā na kījiye

sāvan meñ ḳhaak uḌtī hai dil hai ruñDhā huā
jī chāhtā hai girya-e-mastāna kījiye

dīvāna-vār dauḌ ke koī lipaT na jaa.e
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke dekhā na kījiye

maut aai aane dijiye parwa na kijiye
manzil hai KHatm sajda-e-shukrana kijiye

zinhaar tark-e-lazzat-e-iza na kijiye
hargiz gunah-e-ishq se tauba na kijiye

na-ashna-e-husn ko kya e'tibar-e-ishq
andhon ke aage baiTh ke roya na kijiye

taki KHabar bhi laiye sahil ke shauq mein
koshish ba-qadr-e-himmat-e-mardana kijiye

wo din gae ki dil ko hawas thi gunah ki
yaadash-ba-KHair zikr ab us ka na kijiye

sawan mein KHak uDti hai dil hai runDha hua
ji chahta hai girya-e-mastana kijiye

diwana-war dauD ke koi lipaT na jae
aankhon mein aankhen Dal ke dekha na kijiye


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 287) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+