Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashar Nawaz

  • Ghazal


jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya


jab chhā.ī ghaTā lahrā.ī dhanak ik husn-e-mukammal yaad aayā
un hāthoñ kī mehñdī yaad aa.ī un āñkhoñ kā kājal yaad aayā

sau tarah se ḳhud ko bahlā kar ham jis ko bhulā.e baiThe the
kal raat achānak jaane kyuuñ vo ham ko musalsal yaad aayā

tanhā.ī ke saa.e bazm meñ bhī pahlū se judā jab ho na sake
jo umr kisī ke saath kaTī us umr kā pal pal yaad aayā

jo ziist ke tapte sahrā par bhūle se kabhī barsā bhī nahīñ
har moḌ pe har ik manzil par phir kyuuñ vahī bādal yaad aayā

ham zūd-farāmoshī ke liye badnām bahut haiñ phir bhī 'bashar'
jab jab bhī chalī madmātī pavan uḌtā huā āñchal yaad aayā

jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya
un hathon ki mehndi yaad aai un aankhon ka kajal yaad aaya

sau tarah se KHud ko bahla kar hum jis ko bhulae baiThe the
kal raat achanak jaane kyun wo hum ko musalsal yaad aaya

tanhai ke sae bazm mein bhi pahlu se juda jab ho na sake
jo umr kisi ke sath kaTi us umr ka pal pal yaad aaya

jo zist ke tapte sahra par bhule se kabhi barsa bhi nahin
har moD pe har ek manzil par phir kyun wahi baadal yaad aaya

hum zud-faramoshi ke liye badnam bahut hain phir bhi 'bashar'
jab jab bhi chali madmati pawan uDta hua aanchal yaad aaya


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+