Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Siddiqui

  • Ghazal


marhale zist ke aasan hue


marhale ziist ke āsān hue
shahr kuchh aur bhī vīrān hue

aas lagāo pe har ik shaḳhs se laag
thī na.ī baat ki hairān hue

vo nazar uThne lagī dil kī taraf
hādse ab mire armān hue

aap ko ham se shikāyat kaisī
ham to ġhāfil hue nādān hue

dil-e-vārafta kī bāteñ 'bāqī'
yaad kar kar ke pashemān hue

marhale zist ke aasan hue
shahr kuchh aur bhi viran hue

aas lagao pe har ek shaKHs se lag
thi nai baat ki hairan hue

wo nazar uThne lagi dil ki taraf
hadse ab mere arman hue

aap ko hum se shikayat kaisi
hum to ghafil hue nadan hue

dil-e-warafta ki baaten 'baqi'
yaad kar kar ke pasheman hue


Source: Book : Bar-e-Safar (Pg. 71) Author : Baqi Siddiqui Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969) Edition : 1969

Leave a comment

+