Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Siddiqui

  • Ghazal


naddi ke us par khaDa ek peD akela


naddī ke us paar khaḌā ik peḌ akelā
dekh rahā hai anjāne logoñ kā relā

yuuñ terī anjān javānī raah meñ aa.ī
jaise tū bachpan se mere saath na khelā

jañgal ke sannāTe se kuchh nisbat to hai
shahr ke hañgāme meñ phirtā kaun akelā

pahlī aag abhī tak hai rag rag meñ 'bāqī'
sunte haiñ kal phir gaañv meñ hogā mela

naddi ke us par khaDa ek peD akela
dekh raha hai anjaane logon ka rela

yun teri anjaan jawani rah mein aai
jaise tu bachpan se mere sath na khela

jangal ke sannaTe se kuchh nisbat to hai
shahr ke hangame mein phirta kaun akela

pahli aag abhi tak hai rag rag mein 'baqi'
sunte hain kal phir ganw mein hoga mela


Source: Book : baar-e-safar (Pg. 25)

Leave a comment

+