Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Siddiqui

  • Ghazal


kya pata hum ko mila hai apna


kyā patā ham ko milā hai apnā
aur kuchh nashsha chaḌhā hai apnā

kaan paḌtī nahīñ āvāz koī
dil meñ vo shor bapā hai apnā

ab to har baat pe hotā hai gumāñ
vāqi.a koī sunā hai apnā

har bagūle ko hai nisbat ham se
dasht tak saaya gayā hai apnā

ḳhud hī darvāze pe dastak dī hai
ḳhud hī dar khol diyā hai apnā

dil kī ik shāḳh-e-burīda ke sivā
chaman-e-dahr meñ kyā hai apnā

koī āvāz koī hañgāma
qāfila rukne lagā hai apnā

apnī āvāz pe chauñk uThtā hai
dil meñ jo chor chhupā hai apnā

kaun thā madd-e-muqābil 'bāqī'
ḳhud pe hī vaar paḌā hai apnā

kya pata hum ko mila hai apna
aur kuchh nashsha chaDha hai apna

kan paDti nahin aawaz koi
dil mein wo shor bapa hai apna

ab to har baat pe hota hai guman
waqia koi suna hai apna

har bagule ko hai nisbat hum se
dasht tak saya gaya hai apna

KHud hi darwaze pe dastak di hai
KHud hi dar khol diya hai apna

dil ki ek shaKH-e-burida ke siwa
chaman-e-dahr mein kya hai apna

koi aawaz koi hangama
qafila rukne laga hai apna

apni aawaz pe chaunk uThta hai
dil mein jo chor chhupa hai apna

kaun tha madd-e-muqabil 'baqi'
KHud pe hi war paDa hai apna


Source: Book : baar-e-safar (Pg. 90)

Leave a comment

+