vo añdherā hai jidhar jaate haiñ ham
apnī dīvāroñ se Takrāte haiñ ham
kāTte haiñ raat jaane kis tarah
sub.h-dam ghar se nikal aate haiñ ham
band kamre meñ sukūñ milne lagā
jab havā chaltī hai ghabrāte haiñ ham
haa.e vo bāteñ jo kah sakte nahīñ
aur tanhā.ī meñ dohrāte haiñ ham
zindagī kī kashmakash 'bāqī' na pūchh
niiñd jab aatī hai so jaate haiñ ham
wo andhera hai jidhar jate hain hum
apni diwaron se Takraate hain hum
kaTte hain raat jaane kis tarah
subh-dam ghar se nikal aate hain hum
band kamre mein sukun milne laga
jab hawa chalti hai ghabraate hain hum
hae wo baaten jo kah sakte nahin
aur tanhai mein dohraate hain hum
zindagi ki kashmakash 'baqi' na puchh
nind jab aati hai so jate hain hum
Source: Book : baar-e-safar (Pg. 75)
Leave a comment