aisā vaar paḌā sar kā
bhuul ga.e rasta ghar kā
ziist chalī hai kis jānib
le kaasa kaasa mar kā
kyā kyā rañg badaltā hai
vahshī apne andar kā
dil se nikal kar dekho to
kyā aalam hai bāhar kā
sar par Daalī sarsoñ kī
paañv meñ kāñTā kīkar kā
kaun sadaf kī baat kare
naam baḌā hai gauhar kā
din hai siine kā ghaav
raat hai kāñTā bistar kā
ab to vo jī saktā hai
jis kā dil ho patthar kā
chhoḌo sher uTho 'bāqī'
vaqt huā hai daftar kā
aisa war paDa sar ka
bhul gae rasta ghar ka
zist chali hai kis jaanib
le kasa kasa mar ka
kya kya rang badalta hai
wahshi apne andar ka
dil se nikal kar dekho to
kya aalam hai bahar ka
sar par Dali sarson ki
panw mein kanTa kikar ka
kaun sadaf ki baat kare
nam baDa hai gauhar ka
din hai sine ka ghaw
raat hai kanTa bistar ka
ab to wo ji sakta hai
jis ka dil ho patthar ka
chhoDo sher uTho 'baqi'
waqt hua hai daftar ka
Source: Book : Bar-e-Safar (Pg. 42) Author : Baqi Siddiqui Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969) Edition : 1969
Leave a comment