Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar


aave jo naaz se mirā vo but-e-sīm-bar ba-bar
kaahe ko le phire mujhe merā nasīb dar-ba-dar

chashm-ba-chashm rū-ba-rū sīna-ba-sīna dil-ba-dil
sāq-ba-sāq-o-lab-ba-lab pā.e-ba-pā.e sar-ba-sar

tum to raho ho mehrbāñ ġhair ke saath is tarah
aur maiñ phirūñ huuñ ḳhvār-o-zār ḳhāna-ba-ḳhāna ghar-ba-ghar

ai but-e-mehr-vash kabhī Tuk to nigāh garm ho
ashk se kab talak raheñ dāman-o-jeb tar-ba-tar

dām-e-balā se ab 'baqā' ham se asiir kab chhuTeñ
rishta-e-ġham se guth ga.e bāl-ba-bāl par-ba-par

aawe jo naz se mera wo but-e-sim-bar ba-bar
kahe ko le phire mujhe mera nasib dar-ba-dar

chashm-ba-chashm ru-ba-ru sina-ba-sina dil-ba-dil
saq-ba-saq-o-lab-ba-lab pae-ba-pae sar-ba-sar

tum to raho ho mehrban ghair ke sath is tarah
aur main phirun hun KHwar-o-zar KHana-ba-KHana ghar-ba-ghar

ai but-e-mehr-wash kabhi Tuk to nigah garm ho
ashk se kab talak rahen daman-o-jeb tar-ba-tar

dam-e-bala se ab 'baqa' hum se asir kab chhuTen
rishta-e-gham se guth gae baal-ba-baal par-ba-par


Source: Dewan-e-Baqa

Leave a comment

+