Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


rang mein hum mas se batar ho chuke


rañg meñ ham mas se batar ho chuke
lek usī mas se ki zar ho chuke

ruḳh ko tire shab se maiñ tashbīh duuñ
par isī shab se ki sahar ho chuke

chehra tirā hai mah-e-nau ai sanam
par vo mah-e-nau ki qamar ho chuke

rashk-e-gul seb hai terā zanaḳh
lek vahī gul ki samar ho chuke

qatra-e-naisāñ haiñ vo dandāñ 'baqā'
par vahī qatra ki guhar ho chuke

rang mein hum mas se batar ho chuke
lek usi mas se ki zar ho chuke

ruKH ko tere shab se main tashbih dun
par isi shab se ki sahar ho chuke

chehra tera hai mah-e-nau ai sanam
par wo mah-e-nau ki qamar ho chuke

rashk-e-gul seb hai tera zanaKH
lek wahi gul ki samar ho chuke

qatra-e-naisan hain wo dandan 'baqa'
par wahi qatra ki guhar ho chuke


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+