Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale


ye ruḳh-e-yār nahīñ zulf-e-pareshāñ ke tale
hai nihāñ sub.h-e-vatan shām-e-ġharībāñ ke tale

kyā kareñ siina jo nāseh se chhupāte na phireñ
daaġh se daaġh haiñ kuchh apne garebāñ ke tale

aah kī barq jo siine meñ chamaktī dekhī
tifl-e-ashk aa hī chhupe dāman-e-mizhgāñ ke tale

dil meñ aatā hai karūñ ai gul-e-ḳhandāñ tujh bin
baiTh kar girya kisī naḳhl-e-gulistāñ ke tale

yuuñ nihāñ dāġh-e-jigar aah se rakhtā huuñ ki juuñ
baad se sham.a chhupāve koī dāmāñ ke tale

shaiḳh Dartā huuñ kahīñ baiTh na jaave ye kuaañ
mat khaḌā ho tū asā rakh ke zanaḳhdāñ ke tale

nahīñ milne kī 'baqā' ham ko ba-juz kunj-e-mazār
jā-e-āsūdgī is gumbad-e-gardāñ ke tale

ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale
hai nihan subh-e-watan sham-e-ghariban ke tale

kya karen sina jo naseh se chhupate na phiren
dagh se dagh hain kuchh apne gareban ke tale

aah ki barq jo sine mein chamakti dekhi
tifl-e-ashk aa hi chhupe daman-e-mizhgan ke tale

dil mein aata hai karun ai gul-e-KHandan tujh bin
baiTh kar girya kisi naKHl-e-gulistan ke tale

yun nihan dagh-e-jigar aah se rakhta hun ki jun
baad se shama chhupawe koi daman ke tale

shaiKH Darta hun kahin baiTh na jawe ye kuan
mat khaDa ho tu asa rakh ke zanaKHdan ke tale

nahin milne ki 'baqa' hum ko ba-juz kunj-e-mazar
ja-e-asudgi is gumbad-e-gardan ke tale


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+