Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


silsila chhiD gaya jab yas ke afsane ka


silsila chhiḌ gayā jab 'yās' ke afsāne kā
sham.a gul ho ga.ī dil bujh gayā parvāne kā

ishq se dil ko milā ā.ina-ḳhāne kā sharaf
jagmagā uTThā kañval apne siyah-ḳhāne kā

ḳhalvat-e-nāz kujā aur kujā ahl-e-havas
zor kyā chal sake fānūs se parvāne kā

laash kam-baḳht kī ka.abe meñ koī phikvā de
kūcha-e-yār meñ kyuuñ Dher ho parvāne kā

vaa.e hasrat ki ta.alluq na huā dil ko kahīñ
na to ka.abe kā huā maiñ na sanam-ḳhāne kā

tishna-lab saath chale shauq meñ saa.e kī tarah
ruḳh kiyā abr-e-bahārī ne jo mai-ḳhāne kā

vaah kis naaz se aatā hai tirā daur-e-shabāb
jis tarah daur chale bazm meñ paimāne kā

ahl-e-dil mast hue phail ga.ī bū-e-vafā
pairahan chaak huā jab tire dīvāne kā

sar-e-shorīda kujā ishq kī begār kujā
magar allāh re dil aap ke dīvāne kā

dekh kar aa.ine meñ chāk-e-garebāñ kī bahār
aur bigḌā hai mizāj aap ke dīvāne kā

kyā ajab hai jo hasīnoñ kī nazar lag jaa.e
ḳhuun halkā hai bahut aap ke dīvāne kā

aap ab sham-e-sahar baḌh ke gale miltī hai
baḳht jaagā hai baḌī der meñ parvāne kā

dil-e-be-hausla taktā hai ḳharīdār kī raah
koī gāhak nahīñ TuuTe hue paimāne kā

bazm meñ sub.h huī chhā gayā ik sannāTā
silsila chhiḌ gayā jab aap ke afsāne kā

silsila chhiD gaya jab 'yas' ke afsane ka
shama gul ho gai dil bujh gaya parwane ka

ishq se dil ko mila aaina-KHane ka sharaf
jagmaga uTTha kanwal apne siyah-KHane ka

KHalwat-e-naz kuja aur kuja ahl-e-hawas
zor kya chal sake fanus se parwane ka

lash kam-baKHt ki kabe mein koi phikwa de
kucha-e-yar mein kyun Dher ho parwane ka

wae hasrat ki talluq na hua dil ko kahin
na to kabe ka hua main na sanam-KHane ka

tishna-lab sath chale shauq mein sae ki tarah
ruKH kiya abr-e-bahaari ne jo mai-KHane ka

wah kis naz se aata hai tera daur-e-shabab
jis tarah daur chale bazm mein paimane ka

ahl-e-dil mast hue phail gai bu-e-wafa
pairahan chaak hua jab tere diwane ka

sar-e-shorida kuja ishq ki begar kuja
magar allah re dil aap ke diwane ka

dekh kar aaine mein chaak-e-gareban ki bahaar
aur bigDa hai mizaj aap ke diwane ka

kya ajab hai jo hasinon ki nazar lag jae
KHun halka hai bahut aap ke diwane ka

aap ab sham-e-sahar baDh ke gale milti hai
baKHt jaga hai baDi der mein parwane ka

dil-e-be-hausla takta hai KHaridar ki rah
koi gahak nahin TuTe hue paimane ka

bazm mein subh hui chha gaya ek sannaTa
silsila chhiD gaya jab aap ke afsane ka


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 242) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+