ishq meñ bū hai kibriyā.ī kī
āshiqī jis ne kī ḳhudā.ī kī
ham-sarī mat sabā se kar ai aah
tū ne bhī kuchh girah-kushā.ī kī
le chale ham qafas se ai sayyād
ḳhaak meñ aarzū rihā.ī kī
roz-e-mahshar talak na āḳhir hoñ
dāstāneñ shab-e-judā.ī kī
shaiḳh-jīv se huī na sarzad baav
chuul bolī hai chārpā.ī kī
jis meñ yārān-e-bazm hoñ mahzūz
yuuñ 'baqā' maiñ ġhazal-sarā.ī kī
miir bhī varna ḳhuub kahte haiñ
kāTiye jeb un kī daa.ī kī
ishq mein bu hai kibriyai ki
aashiqi jis ne ki KHudai ki
ham-sari mat saba se kar ai aah
tu ne bhi kuchh girah-kushai ki
le chale hum qafas se ai sayyaad
KHak mein aarzu rihai ki
roz-e-mahshar talak na aaKHir hon
dastanen shab-e-judai ki
shaiKH-jiw se hui na sarzad baw
chul boli hai chaarpai ki
jis mein yaran-e-bazm hon mahzuz
yun 'baqa' main ghazal-sarai ki
mir bhi warna KHub kahte hain
kaTiye jeb un ki dai ki
Source: Deewan-e-Baqa
Leave a comment