pag pag phuul khile the lekin tan-man meñ thī aag
vo to saath nahīñ thā lekin saath the is ke bhaag
soch rahā huuñ kis ke vish se hogī kam taklīf
chāroñ aur khaḌe haiñ mere rañg-birañge naag
dhīre dhīre man-agnī ThanDī na kahīñ ho jaa.e
chheḌ kabhī dil kī biinā par koī purānā raag
mīThe paanī kī naddī kyuuñ bahe samundar or
jis ke man meñ pyaar kā dhan ho kyuuñ le vo bairāg
aaj yahāñ kal vahāñ yahī hai 'bāqar' apnā haal
har miTTī dhutkāre jab se chhūT gayā prayāg
pag pag phul khile the lekin tan-man mein thi aag
wo to sath nahin tha lekin sath the is ke bhag
soch raha hun kis ke wish se hogi kam taklif
chaaron aur khaDe hain mere rang-birange nag
dhire dhire man-agni ThanDi na kahin ho jae
chheD kabhi dil ki bina par koi purana rag
miThe pani ki naddi kyun bahe samundar or
jis ke man mein pyar ka dhan ho kyun le wo bairag
aaj yahan kal wahan yahi hai 'baqar' apna haal
har miTTi dhutkare jab se chhuT gaya prayag
Leave a comment