Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Naqvi

  • Ghazal


subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna


subuk-sarī meñ bhī andesha-e-havā rakhnā
sulag uThe ho to jalne kā hausla rakhnā

na.ī fazā meñ na.e par nikālne hoñge
falak ko zer-e-zamīñ ko gurez-pā rakhnā

tumhāre jism ke sandal kī aabrū hai bahut
hujūm-e-shauq meñ rah kar bhī fāsla rakhnā

zamīn phuul fazā nuur āsmān dhanak
inhīñ meñ rahnā magar rañg bhī judā rakhnā

tumhāre shahr ke lab-basta shā.iroñ meñ se huuñ
mire liye bhī koī harf-e-be-navā rakhnā

ye zīnateñ bhī ajab haiñ ye sādgī bhī ajab
riyā ke saare hunar jism par sajā rakhnā

na jaane kaun sā kis vaqt kaam aa jaa.e
so ek jeb meñ but ek meñ ḳhudā rakhnā

subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna
sulag uThe ho to jalne ka hausla rakhna

nai faza mein nae par nikalne honge
falak ko zer-e-zamin ko gurez-pa rakhna

tumhaare jism ke sandal ki aabru hai bahut
hujum-e-shauq mein rah kar bhi fasla rakhna

zamin phul faza nur aasman dhanak
inhin mein rahna magar rang bhi juda rakhna

tumhaare shahr ke lab-basta shairon mein se hun
mere liye bhi koi harf-e-be-nawa rakhna

ye zinaten bhi ajab hain ye sadgi bhi ajab
riya ke sare hunar jism par saja rakhna

na jaane kaun sa kis waqt kaam aa jae
so ek jeb mein but ek mein KHuda rakhna


Leave a comment

+