Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Mehdi

  • Ghazal


bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!


bahut zī-fahm haiñ duniyā ko lekin kam samajhte haiñ!
ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mub.ham samajhte haiñ

havā.eñ tez-tar haiñ aaj bādal aane vaale haiñ
taḌapte sard jhoñkoñ ko bhī sab mausam samajhte haiñ

zamīñ karvaT badaltī hai na.e rañgoñ meñ Dhaltī hai
nujūmī kis tarah duniyā ke pech-o-ḳham samajhte haiñ

falak ġhā.eb huā ye chāñd taare ḳhāk-dāñ se haiñ
inheñ bhī log ik duniyā nayā aalam samajhte haiñ

bahut dānā-e-rāz aa.e hazāroñ nukta-dāñ aa.e
samajhne ke liye vo zindagī ko ġham samajhte haiñ

huī taḳhlīq kaise aaj tak koī nahīñ samjhā
nikāle kab ga.e ye hazrat aadam samajhte haiñ

na koī ashk-shoī hai na chehra zard hai 'bāqar'
hamārī ḳhāmushī ko phir bhī vo mātam samajhte haiñ

bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain!
ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain

hawaen tez-tar hain aaj baadal aane wale hain
taDapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain

zamin karwaT badalti hai nae rangon mein Dhalti hai
nujumi kis tarah duniya ke pech-o-KHam samajhte hain

falak ghaeb hua ye chand tare KHak-dan se hain
inhen bhi log ek duniya naya aalam samajhte hain

bahut dana-e-raaz aae hazaron nukta-dan aae
samajhne ke liye wo zindagi ko gham samajhte hain

hui taKHliq kaise aaj tak koi nahin samjha
nikale kab gae ye hazrat aadam samajhte hain

na koi ashk-shoi hai na chehra zard hai 'baqar'
hamari KHamushi ko phir bhi wo matam samajhte hain


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 298) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+