Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Mehdi

  • Ghazal


kaun bhala ye kahta hai KHud aa ke hum ko manaen aap


kaun bhalā ye kahtā hai ḳhud aa ke ham ko manā.eñ aap
TuuTā dil ab kaise juḌegā sachchī qasmeñ na khā.īñ aap

patthar siine par rakh leñge jīte-jī jā.eñge
aap ko qātil kaun kahegā kyuuñ nāhaq ghabrā.eñ aap

rāh-e-vafā par chalte chalte apnī azmat bhuul ga.e the
chhoḌī ham ne rasm-e-parastish ab na karam farmā.eñ aap

sehr kiyā e.ajāz kiyā hai dard kā sho.ala barf banā hai
tark-e-mohabbat ham ko mubārak kyuuñ nāhaq pachhtā.eñ aap

josh-e-junūñ kā daur nahīñ hai dil ke sukūñ kā daur nahīñ hai
ġham hai nayā kaise kam hogā aa.eñ aap na aa.eñ aap

tishna-labī kuchh aur baḌhī hai mai-ḳhvārī kī dhuum machī hai
āḳhir ham se riñd-e-balā-kash kaise pyaas bujhā.eñ aap

kaun bhala ye kahta hai KHud aa ke hum ko manaen aap
TuTa dil ab kaise juDega sachchi qasmen na khain aap

patthar sine par rakh lenge jite-ji jaenge
aap ko qatil kaun kahega kyun nahaq ghabraen aap

rah-e-wafa par chalte chalte apni azmat bhul gae the
chhoDi hum ne rasm-e-parastish ab na karam farmaen aap

sehr kiya eajaz kiya hai dard ka shoala barf bana hai
tark-e-mohabbat hum ko mubarak kyun nahaq pachhtaen aap

josh-e-junun ka daur nahin hai dil ke sukun ka daur nahin hai
gham hai naya kaise kam hoga aaen aap na aaen aap

tishna-labi kuchh aur baDhi hai mai-KHwari ki dhum machi hai
aaKHir hum se rind-e-bala-kash kaise pyas bujhaen aap


Source: Book : NUQOOSH (Pg. 200) Author : Mohammad Tufail Publication : Idarah Forogh-e-urdu, Lahore (Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957) Edition : Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957

Leave a comment

+